Singer | Hardil Pandya |
Language | Hindi |
kyun tode tune saare wadein
tanha chhoda rahon mein laake
aankhein meri bin tere jagein
jaun main kahan
kyun aahatein hain peeche bhage
thak gaya hu jage jagein
dard bhi ab aankhein mangein
ro lu main zara
meri taqdeer thi tu
main tera naseeb tha
kyun mil na paye ye bata
toda kyun chhoda tanha mujhko bewajah
teri hi yaadein hain bas ab toh har jagah
aashuon ki baarish hai aur tanha main khada
teri hi yaadein hain bas ab toh har jagah
pehli mulakat ki wo raat tera sath
wo barsaat, yaad aati hai
keh na paya jo main dil ki baat
wo jazbaat bann beh jaati hai
yaad aati hai
tera har khawb mera tha
falak par bas sawera tha
na ho paya kisi ka dil yeh tera tha
toda kyun chhoda tanha mujhko bewajah
teri hi yaadein hain bas ab toh har jagah
aashuon ki baarish hai aur tanha main khada
teri hi yaadein hain bas ab toh har jagah
toda kyun mujhe chhoda kyun
toda kyun mujhe chhoda kyun
toda kyun mujhe chhoda kyun bewajah
toda kyun mujhe chhoda kyun
toda kyun mujhe chhoda kyun
toda kyun mujhe chhoda kyun bewajah