Singer | Vishal Dadlani |
Genre | Motivational |
Language | Hindi |
Album | Brothers |
ho...
tukdo mein bikhra andhera,
chamka sitara jo tera
ambar pe aa dastakhat kar de
tu ab talak tha adhoora,
hone hi waala hai poora
hadd se gujar ja, tu hadd kar de
hai chaah toh, hai raasta
ye jaan le zara.
mumkin nahi hai kya agar,
tu thaan le zara
ho. o.
teri baari hai, kamar kas le
tere bas mein hain, saare masle
tere toote huye, dil ki zameenon pe
himmat ki ugaale faslein
tere haathon mein karam hai tera
aur khoon garam hai tera
koi teer nishaane se chooke na
jam ke kadam rakh le
khud mein tu hathiyaar hai,
ladne ko tayyaar hai
tinke ki ek chhott ke jaise,
tera har waar hai
manzill tujhpe hai fida,
tera haafiz hai khuda
kuch aisa kar ja,
ki wo bhi tujhse pooche
bande batla de, teri marzi hai kya?
ho. o...
har dhar ka hai att kohra
taaqat ka tu ban mohra
har lakshya ke bhed ke dikhla de
arjun ki kahani dohra
marham ho haraam tera,
aur zakhm inaam tera
bheega ho jo tere paseene mein,
wahi jeet ka ho chehra
maana ab hai farsh par,
tera haq toh hai shikhar
har bandhan se toot ke,
apni manzil pe kooch kar
charcha ho iss baat ka,
duniya ki zubaan par
uper waale ne banaya hai,
kya tere dono haathon ko, talwaare pighlakar
ho. ho... ho... o... o...!!