Singer | Jubin Nautiyal |
Writer | Manoj Muntashir |
Language | Hindi |
Hansta hua yeh chehra
Bas nazar ka dokha hai
Tumko kya khabar kaise
Aansuon ko roka hai
Ho tumko kya khabar kitna
Main raat se darrta hoon
Sau dard jaag uthte hain
Jab zamaana sota hai
Haan tumpe ungaliyan na uthein
Isliye gamm uthaate hain
Dil pe zakhm khaate hain
Dil pe zakhm khaate hain
Aur muskurate hain
Dil pe zakhm khaate hain
Aur muskurate hain
Kya batayein seene mein
Kis kadar daraarein hain
Hum woh hain joh sheeshon ko
Tootna sikhate hain
Dil pe zakhm khaate hain
Log humse kehte hain
Laal kyun hai yeh aankhein
Haan log humse kehte hain
Laal kyun hai yeh aankhein
Kuchh nasha kiya hai ya
Raat soye the kuchh kamm
Kya batayein logon ko
Kaun hai joh samjhega
Raat rone ka dil tha
Phir bhi ro na paaye hum
Dastakein nahi dete
Hum kabhi tere dar pe
Teri galiyon se hum
Yoon hi laut aate hain
Dil pe zakhm khaate hain
Kuchh samajh na aaye
Kuchh samajh na aaye
Hum chain kaise paayein
Baarishein jo sath mein ghuzri
Bhool kaise jaayein
Kaise chhod dein aakhir
Tujhko yaad karna
Tu jiye teri khaatir
Ab hai kabool marna
Tere khat jala na sake
Isliye dil jalate hain
Dil pe zakhm khaate hain
Aur muskurate hain
Hum woh hai jo sheeshon ko
Tootna sikhate hain
Dil pe zakhm khaate hain
Aur muskurate hain
Dil pe zakhm khaate hain