Singer | Abhijeet Bhattacharya & Alka Yagnik |
Genre | Love |
Language | Hindi |
Album | Hameshaa |
dil mujhse judaa kyoon hua
yeh tujhpe fida kyoon hua
naam tera hi lene lagaa
yeh deewana sa kyoon hua
roka isse, maana nahin
tera hona tha, ho gaya
yaad teri kyoon aane lagi
jaan meri kyoon jaane lagi
aankh meri kyoon rone lagi
rooh meri kyoon gaane lagi
nagme wafa ke jee bharke gaa le
ashkon se dil ki aag bujhaa le
nagme sunaaoonga, jhoomke gaaoonga
tumse karoonga wafa
dil na jaane kehta hai kyoon
naam tera hi likhta rahoon
tu mujhko bas itna bataa
pyaar tera kahan main rakhoon
aankhon mein rakh le, dil mein chhupa le
mujhko churaake apna banaa le
apna banaaoonga, tujhko le jaaoonga
sun le meri dilrooba
raat ruk ruk ke dhalne lagi
chaand rug rug ke chalne laga
yeh rim jhim ki pehli ghataa
kyoon parvat pe chhaaya nasha
teri mohabbat bikhri hui hai
har cheez dekho nikhri hui hai
madhosh karti hai, jhoomke chalti hai
in vaadiyon mein hawa
sun, kudrat ki dhadkan ko sun
phir chaahat ke khwaabon ko bun
pyaar mera yeh hoga na kam
main tera rahoonga sanam
sapnon ki duniya aaja basaaye
chaahat ke rangon se usko sajaaye
ab kaisa darrna, vaada yeh karna
milke na honge judaa
dil mujhse judaa kyoon hua
yeh tujhpe fida kyoon hua
naam tera hi lene lagaa
yeh deewana sa kyoon hua
roka isse, maana nahin
tera hona tha ho gaya
tera hona tha ho gaya.