Singer | Manhar Udhas |
Genre | Love |
Language | Hindi |
Album | Baat Ban Jaye |
isi jagha is khandar mein
ha is ujde virane mein
kahte hain milte the do
deewane kisi zamane mein
ek tha banjara ek thi shehajadi
ek tha banjara ek thi shehajadi
un dono ki prem kahani
un dono ki prem kahani
kahti hain ye wadi
ek tha banjara ek thi shehajadi
kaise unka mail huya
kismat ka ye khel huya
ek dafa wo banjara
mahal ke raste se gujra
gana banjaro ki reet
usne chheda koi geet
jab uski aawaz sune
tadap uthi bas shehjadi
usne hukam diya hazeer ho
usne hukam diya hazeer
ho kon hain ye fariyadi
ek tha banjara ek thi shehajadi
shehjadi ka sunkar naam
banjare ne kiya salam
ulfat kar gayi apna kam
dil ne dil ko diya paiyam
sach kahte hain sare log
bahut boora hain prem ka rog
ye jisko lag jata hain
chain use kab aata hain
banjare ne shehjadi ke
banjare ne shehjadi ke
dil mein aag laga di
ek tha banjara ek thi shehajadi
o heere moti lekar sath
shehjadi aayi ek raat
kehne lagi main hoon taiyar
chhod diya maine ghar bar
banjare ne kaha nahin
heere moti phenko yahin
pyar mein jeena marna hain
daulat ko kya karna hain
pyar ne pal mein duniya ki
pyar ne pal mein duniya ki
unchi deewar gira di
ek tha banjara ek thi shehajadi
un dono ki prem
kahani kahti hain ye wadi
ek tha banjara ek thi shehajadi.