Singer | Raja Hasan |
Language | Bollywood |
Hathon Se Yoon, Chhute Hain Kyun
Dhaage Junun Ke, Toote Se Hain Kyun
Ye Hausely, Ruthey Hain Kyun
Hain Khaab Saare, Jhoothein Se Kyun
Kisi Ghaat Pe Kisi Deep Sa
Jalta Hoon Main Jaise Chita
Kisi Rakh Mein Fal Mokshka
Shav Hoke Hi Milta Shiva
Main Ho Raha, Khud Mein Shivaala
Baaki Abhi, Mujhmein Ujaala
Khud Mein Yakin Phir Se Hai Dekha
Badlunga Main Kismat Ki Rekha
Aane Ko Hai Phir Se Savera
Jaane Ko Hai Gehra Andhera
Jis Mod Se Rukh Modke
Nikla Tha Main Aaya Phir Se Wahi
Ummeed Ki Har Roshni Dhundhli Huyi
Palkon Mein Thehri Nami
Iss Dard Ki Lehron Ka Kya
Na Ginti Hai Na Hai Sira
Mujhe Darr Nahi Toofan Ka
Dooba Hai Jo Woh Tar Gaya
Main Ho Raha, Khud Mein Shivaala
Baaki Abhi, Mujhmein Ujaala
Khud Mein Yakin Phir Se Hai Dekha
Badlunga Main Kismat Ki Rekha
Aane Ko Hai Phir Se Savera
Jaane Ko Hai Gehra Andhera
Kuchh Is Tarah Main Chup Raha
Har Gham Saha Rona Toh Aaya Nahi
Be-Inteha Hairaan Sa
Tanha Raha Shikwa Kiya Na Kahin
Jo Tha Mera Woh Kho Gaya
Jo Kho Gaya Afsos Kya
Takleef Se Anjaan Sa
Main Zindagi Jeeta Raha
Main Ho Raha, Khud Mein Shivaala
Baaki Abhi, Mujhmein Ujaala.
हाथों से यूं, छूटे हैं क्यूँ
धागे जूनून के, टूटे से क्यूँ
ये हौसले, रूठे हैं क्यूँ
हैं खाब सारे, झूठें से क्यूँ
किसी घाट पे किसी दीप सा
जलता हूँ मैं जैसे चिता
किसी राख में फल मोक्षका
शव होके ही मिलता शिवा
मैं हो रहा, खुद में शिवाला
बाकी अभी, मुझमें उजाला
खुद में यकीं फिर से है देखा
बदलूंगा मैं किस्मत की रेखा
आने को है फिर से सवेरा
जाने को है गेहरा अँधेरा
जिस मोड़ से रुख मोड़के
निकला था मैं आया फिर से वही
उम्मीद की हर रौशनी धुंधली हुयी
पलकों में ठेहरी नमी
इस दर्द की लेहरों का क्या
ना गिनती है ना है सिरा
मुझे डर नहीं तूफ़ान का
डूबा है जो वो तर गया
मैं हो रहा, खुद में शिवाला
बाकी अभी, मुझमें उजाला
खुद में यकीं फिर से है देखा
बदलूंगा मैं किस्मत की रेखा
आने को है फिर से सवेरा
जाने को है गेहरा अँधेरा
कुछ इस तरह मैं चुप रहा
हर ग़म सहा रोना तो आया नहीं
बे-इन्तहा हैरान सा
तन्हा रहा शिकवा किया ना कहीं
जो था मेरा वो खो गया
जो खो गया अफ़सोस क्या
तकलीफ से अनजान सा
मैं ज़िन्दगी जीता रहा
मैं हो रहा, खुद में शिवाला
बाकी अभी, मुझमें उजाला
Lyricist:
Rajesh Manthan