Singer | Sukhwinder Singh, Abhijeet Bhattacharya & Gursewak Mann |
Genre | Happy |
Language | Hindi |
Album | Kaafila |
kabhi kabhi spane bhi
sach ho jaate hain
ho ho ho ho ho ho ho ho
kabhi kabhi kabhi kabhi
kabhi kabhi spane bhi
sach ho jaate hain
jaise begaane
apne ho jaate hain
jaise bin maange hi
sab kuchh mil jaata hai
sab kuchh mil jaata hai
jaise bin soche hi
sab kuchh ho jaata hai
jaise viraane mein
gulshan khil jaate hain
kabhi kabhi kabhi kabhi
spane bhi sach ho jaate hain
ummid ka daaman pakade huye
zindagi hai ab muskaane lagi
zindagi hai ab muskaane lagi
jo nazar nahi aayi thi kabhi
manjil woh nazar aane lagi
jo nazar nahi aayi thi kabhi
manjil woh nazar aane lagi
paigaam bahaar ke aane
ka doli le kar aaya jaise
mehaki madmast hawaayon
ne nagama sa gaaya ho jaise
anjaani raahon mein
rehbar mil jaatein hain
kabhi kabhi kabhi kabhi
na jaane kya hai likha tune
yeh hum sab ki takdiron mein
na jaane kya hai likha tune
yeh hum sab ki takdiron mein
hasrat hai jinako khushiyon ki
hum bhi hai unn raahgiron mein
haalaat ne karwat badali hai
takdir badal gayi hai apni
saagar ki lehar mein dol rahi
kashti bhi sanbhal gayi hai apni
kabhi kabhi toh tufaan
saahil ban jaate hain
kabhi kabhi spane
bhi sach ho jaate hain
kabhi kabhi kabhi kabhi
kabhi kabhispane
bhi sach ho jaate hain
jaise begaane apne ho jaate hain
pardesiya pardesiya
pardesiya pardesiya
nikale hai ghar se kismat ka
nikale hai ghar se kismat ka
kohtoor dekhana chaahate hain
maayus hayaati ke chehre
pe noor dekhana chaahate hain
aise mein begaane bhi
apne ho jaaate hai
kabhi kabhi kabhi kabhi
kabhi kabhi spane
bhi sach ho jaate hain
jaise begaane apne ho jaate hain.