Singer | Mohammed Irfan |
Genre | Sad |
Language | Hindi |
Album | Laali Ki Shaadi Mein Laaddoo Deewana |
uljhi si ek dor hai koi
khamoshi mein shor hai koi
kisko ye batlaye
kya dil puchhe ab mera
uljhi si ek dor hai koi
khamoshi mein shor hai koi
kisko ye batlaye
kya dil puchhe ab mera
palkhone se zarne
kyun phut-te hai
naino ke pokhar
kyun sukhte hai
ashqo mein sapne
beh jaate hai kyun
waade adhure
reh jaate hai kyun
kyun hota hai
ehsaas khone ka
kyun hota hai
main jaanu na
kyun hota hai
gham kisi ke khone ka
kyun hota hai
main jaanu na
saanse begaani ho gayi hai
dhadkan parai si lage
saari fizaao mein yahaan ghul
koi ruswaai si lage
khwaabon ke moti
kyun tut-te hai
khushiyon ke mausam
kyun ruthate hai
bin bole naina
keh jaate hai kyun
alfaaz hothon pe
reh jaate hai kyun
kyun hota hai ehsaas khone ka
kyun hota hai main jaanu na
kyun hota hai
gham kisi ke khone ka
kyun hota hai main jaanu na
uljhi si ek dor hai koi
khamoshi mein shor hai koi
kisko ye batlaye
kya dil puchhe ab mera
uljhi si ek dor hai koi
khamoshi mein shor hai koi
kisko ye batlaye
kya dil puchhe ab mera….