Singer | Khushali Kumar |
Language | Hindi |
jab maa kehti thi wo bhi kya din the
peeche jaane ki zarurat kya hai
aksar main yeh sochti thi sunkar
kuch dino se halaat normal nahi hai
toh mann apne aap bhag jata hai
un dino ki or jab sab normal tha
ek cup chai aur glucose ke biscuit
khakar kaam par nikalna
maa ka peeche peeche bhag kar tiffin pakdana
arey lunch toh leti ja sath
raste mein logon ko
traffic challan dene se bachne ke liye
inspector se ladta dekh lagta tha
police public se kyun jhagadti hai
main badal gayi ya mera nazariya
par aaj police kamaal lagti hai
kahin se kuch bhi kehte huye dost
kya kamaal lagte the
lagataar ek hi baat par ghanton baatein
ab lagta hai wo time waste nahi kiya
uss connection ka maza hi kuch aur tha
jinse kabhi hello bhi nahi huyi
aaj unka chehra bhi jaana sa lagta hai
jinke paas ghar nahi hai
unki aankhon ka sapna apna sa lagta hai
saayad ye kudrat humse kuch keh rahi hai
ab thoda ruk kar sochne ko keh rahi hai
ab tak jo hua usse kuch seekhne ka
ishaara kar rahi hai
ab aane wale samay mein
hum sabko hath pakad kar chalna hoga
maa shayad yahi keh rahi hai
ab aehmiyat pata chali
ki normal se badhkar aur kuch nahi hai
meri maa ka pehle ke dino sarahna
ab samajh aaya ki kyun zaroori hai
taaki jab sab normal ho jaye
hum har uss chez ko jiyein
jo humare munh par hansi aur
dusron ke munh par khushi laati hai
uski khushi meri hansi
na tera mera na koyi faasla
maa sabki sach kehti hai
sabki aankho mein sapne hain
unhein phir se sach karenge
bas ek baar phir wapas ho jayein
normal days!