Singer | Udit Narayan |
Genre | Dance |
Language | Hindi |
Album | Phir Bhi Dil Hai Hindustani |
hum logon ko samajh sako to
hum logon ko samajh sako to
samjho dilbar jaani
jitna bhi tum samjhoge
utni hogi hairaani
hum logon ko samajh sako to
samjho dilbar jaani
jitna bhi tum samjhoge
utni hogi hairaani
apni chhatri tumko dedein
kabhi jo barse paani
kabhi naye packet mein
bechein tumko cheez puraani
phir bhi dil hai hindusatni
phir bhi dil hai hindusatni
phir bhi dil hai hindusatni
thode anari hain thode khiladi
ruk rukke chalti hai apni gaadi
thode anari hain thode khiladi
ruk rukke chalti hai apni gaadi
humein pyaar chahiye
aur paise bhi
hum aise bhi hain
hum hain waise bhi
hum logon ko samajh sako to
samjho dilbar jaani
ulti seedhi jaisi bhi hai
apni yehi kahaani
thodi hummein
khushiyaan bhi hain
thodi hai nadaani
thodi hum mein sachaai hai
thodi beimaani
phir bhi dil hai hindusatni
phir bhi dil hai hindusatni
phir bhi dil hai hindusatni
aankhon mein kuchh
aansoo hain
kuchh sapne hain
aansoo aur sapne
donon hi apne hain
aankhon mein
kuchh aansoo hain
kuchh sapne hain
aansoo aur sapne
donon hi apne hain
dil dukha hai lekin
toota to nahin hai
umeed ka daaman
chooka to nahin hai
hum logon ko samajh sako to
samjho dilbar jaani
thodi majboori hai lekin
thodi hai manmaani
thodi tu tu main main hai
aur thodi kheecha taani
hum mein kaafi baatein hain
jo lagti hain deewani
phir bhi dil hai hindusatni
phir bhi dil hai hindusatni
phir bhi dil hai hindusatni
phir bhi dil hai hindusatni
dil hai hindusatni
phir bhi dil hai hindustani
phir bhi dil hai hindusatni
phir bhi dil hai hindusatni.