Singer | Asha Bhosle |
Genre | Love |
Language | Hindi |
Album | Khwahish |
rat ko chupke se
aata hai ek farishta
kuchh khushiyo ke lamhe
laata hai ek farishta
kehat hai sapno ke
aagosh me kho jao
tum bhul ke gham
sare chupke se so jao
mai mund ke palko
ko jane kab so jati hu
anjani nagari me
kahi gum ho jati hu
mai chahu sapno me
bas sath tumhara ho
inn mere hatho me inn mere
hatho me hath tumhara ho
mai chahu sapno me
bas sath tumhara ho
gito ki rimjhim me
chahat ke mausam me
tum hamse milte ho
ham tumse milte hai
din raat badalate hai
halat badalate hai
har ek pal har ek lamha
ham sang sang chalate hai
phir subah hoti hai
aur tutate hai sapane
na jane aise kyon
ruthate hai sapane
tum tanha rehte ho
mai tanha rehati hu
ek bar nahi sau bar
me phir bhi kehati hu
mai chahu sapno me
bas sath tumhara ho
anjani raho me
jivan ki baho me
kabhi sukh bhi milte hai
kabhi dukh bhi milte hai
kal kisane dekha hai
kal kisane jaana hai
takdir ke yeh afsane
ham sabko chalte hai
kabhi khwahish dil
ki yaha puri hoti hai
kabhi khwahish dil
ki dil me rehati hai
pal pal yeh safar lekin
chalta hi rehta hai
har sas me ek rang
naya bharta hi rehta hai
mai chahu sapno me
bas sath tumhara ho
mai chahu sapno me
bas sath tumhara ho
inn mere hatho me inn
mere hatho me hath tumhara ho
mai chahu sapno me
bas sath tumhara ho
mai chahu sapno me.