shaurya

shaurya lyrics

Details
Singer Shahrukh Khan
Genre Patriotic
Language Hindi
Album Shaurya
Poster shaurya
play
Lyrics

shaurya kya hai?

thartharti iss dharti ko raunti

faujiyon ek paltan ka shoor


ya sheme se asman ko cheerta hua

banduko ki salami ka shoor


shaurya kya hai?


hari wardi per chamkte hue

chand petal ki sitare

ya sharad ka naam dekar

andekhi kuch lakiro ki numais


shaurya kya hai?


door udate khamosh paride ko

goliyon ko bhune dene ka ehsaash

ya sholo ki barsat se pal bhar mein

ek sehar ko shamshan bana dene ka ehsaash


shaurya


behti byaaas mein

kisi ke garam khoon ka

huale se shurkh ho jana


ya anjani kisi jannat ki firak mein

pal pal ka dojak bante jana


barodo se dhunlaye is aasmaan mein

shaurya kya hai?


wadiyon ki gunjte kisi gaon se mata me

shaurya kya hai?


shaurya


shayad ek hoshla

shayad ek himmat

hamre bhaut ander


majhab ke banaye dayere ko tod kar

kisi ka hath tham lene ki himmat


goliyonn ki betahasha shor ko

appni khamoshi se

chunauti de pane ki himmat


marti maarti is duniya mein

nihathe datte rehne ki himmat


shaurya


aane wale kal ki khatir

apne hisse ki kaynat ko

aaj bachalene ki himmat


shaurya kya hai?

Images Credit: YouTube
You May Also Like (Similar)

Note: Discover a wide collection of free lyrics on this website. Please note that we ("asomlive") do not host the files.
Rules: Videos and lyrics provided are for personal use only. Redistribution of these materials is strictly prohibited. Please delete them from your hard disk within 24 hours. If you do not agree with these terms, please close this window.