Singer | Slowcheeta |
Genre | Rap Song |
Language | Hindi |
Album | Article 15 |
baatein bahut hui
kaam shuru karein kya
kal kya karega
aaj shuru karein kya
yeh desh apne haath
kuch baaton se hoga na
tu khud hi hai naayak
toh shuru karein kya
baatein bahut hui
kaam shuru karein kya
kal kya karega
aaj shuru karein kya
yeh desh apne haath
kuch baaton se hoga na
tu khud hi hai naayak
toh shuru karein kya
shuruaat se hi seekhte ghalat hai
garam hai hum sab pe
par khud mein jo dum hai woh kum hai kya
tere andar ki zameen aaj numm hai kya
doosron pe bhonkhe
tujhe khud pe sharam hai kya
gareebon pe atyachaar
bachchiyon ka balaatkaar
naa rokega naa toh
na hoga aisa koi chamatkar
ungli uthaate par awaaz toh uthaao
note sab chaape saale izzat kamaao
batti tum jalaate khali kadam badhate
apne andar ke andhere mein woh batti ko jalaao
aaftaab si udaan kyun
samaaj bana chilman sa
lutkar jo lathpath
tu puchhta hai jaat unka
tarkash mein mazhab
ye jab tak tarazu ke
peedhhi ki maut hogi gharshan kare shanka
haan, ainak awaam ka hai saaf nahi
devi haan sadko pe darke kyu kaanp rahi
saanp bani chhati pe dehshat dharam ki
tu khud hai masiha ye ankhe kyu nam si
saanp bani chhati pe dehshat dharam ki
tu khud hai masiha ye ankhe kyu nam si
baatein bahut hui
kaam shuru karein kya
kal kya karega
aaj shuru karein kya
yeh desh apne haath
kuch baaton se hoga na
tu khud hi hai naayak
toh shuru karein kya
bhai musalman ka toh
kaai ko ladte jaat pe
insaaniyat hai gumshuda
aur psycho hum halaat se
aur apne logo ko toh chahiye jaati ka waar
haathi ka daant
tu bol mujhko kidhar gayab insaaf
tabhi to milega jabhi tu
apne haq ko bolna shuru karega
sach ko kholna sab ke baare mein sochna
ab tu nahi darega
ameer ke thaali mein roti hai chaar
fakeer nahi hai mila prasaad
sab theek hai tera toh badha vyapaar
kamzor pe aise na daal dabaav
chalo shuru se karein haal kyun behaal hai
aise toh azaadi ko huve sattar saal hain
hum azaad na phir bhi
kabhi sunte na khud ki
ghar baithe sochenge masle ki tarqeeb
kadam le aage toh peeche ye kheenche
tu zyada sach ugle toh dharti ke neeche
ab neeche hi rehna
himmat se sehna
woh maare wo peete
tu kuch bhi na kehna
har jaati se choti yahaan aurat ki jaat
dede jeevan ki dor kisi aur ke haath
yahaan praan jaaye par maan na jaaye
dulat ki laalach hadapti duaayein
baatein bahut hui
kaam shuru karein kya
kal kya karega
aaj shuru karein kya
yeh desh apne haath
kuch baaton se hoga na
tu khud hi hai naayak
toh shuru karein kyaa.