Language | Hindi |
[Verse 1]
Thode se aakhon mai aaj aasu hai
Udasi hat rahi par apno mai kuch gum rahe
Main likhna chahta hun dil ki kuch baatein aaj
Jo kal mujhe sukoon ke kuch pal de
Aaj kal main khudse naraz rehta
Rishte sambhlte nhi ban gaya mein yaar kaisa
Koi nahi dost ab koi nah hai yaar mera
Dekha Aaj Meine bacha nahi koi paas mera
Wo chaar class ke yaar mere
Un mai se do bure wakt mai sath there
Main kisiko galat nahi bata raha
Wakt tha galat mera jo chehra unka na dikha
Kher chhod
Shaayad meri hi thi galati
Kaise samaj pate tum mujhe itni jaldi
Shayrion mai baayan kardi apni adhi zindagi
Bada admi banna isliye likhta kahani khudki
[Verse 2]
Rishton mai rehti mere kharaabi
Kehna hai bhot par kisse kahu pata nahi
Log chhod dete sath mera
Ab toh aadatsi ho gayi hai mujhe rehne ki akela
Kafi chize hai ajib mujhme
Log puchte the kiske tha karib itne
Main kuch kehna nahi chahta unse
Logo se durr baatein krta khud se
Kyu sab ne chhod diya sath mera
Akela pann kyu chhod ta nahi sath mera
Darwaza band rehta kamre mai andhera
Neend ka pata nahi par hojata savera
Ab main likhta bhi kam hu
Gaane bhi nahi bana pata
Soch ta hu ab rakhdu ye kalam meri
Jo shayad mujhe bana de insaan
Hai mere mai hewan