Singer | Parineeti Chopra |
Genre | Patriotic |
Language | Hindi |
Album | Kesari |
mmm hmm…
oh ranjhanaa ve teri saanson pe
thoda sa watan ka bhi haq tha
na dekh mujhe yun mud mud ke
tera mera saath yahin tak tha
ye teri zameen tere khoon se hi
toh sajti sanwarti hai ranjhe
tere ishq ki main haqdaar nahi
teri heer toh dharti hai ranjhe
haaye…
teri mitti mein mill jaawan
gul banke main khill jaawan
itni si hai dil ki aarzoo
teri nadiyon mein beh jaawan
teri kheton mein leharawaan
itni si hai dil ki aarzoo
mmm mm…
aye meri zameen afsos nahi
jo tere liye sau dard sahe
mehfooz rahe teri aan sada
chaahe jaan meri yeh rahe na rahe
aye meri zameen mehboob meri
meri nass nass mein tera ishq bahe
pheeka na pade kabhi rang tera
jismon se nikal ke khoon kahe
haaye…
teri mitti mein…
gul banke main…
itni si hai dil ki aarzoo
haaye…
teri nadiyon mein beh jawaan
teri phaslon mein lehrawaan
itni si hai dil ki aarzoo.