Singer | Roop Kumar Rathod |
Genre | Love |
Language | Hindi |
Album | Border |
ae jaate hue lamhon
zara thehro zara thehro
ae jaate hue lamhon
zara thehro zara thehro
main bhi to chalta hoon
zara unse milta hoon
jo ek baat dil mein hai unse kahoon
to chaloon to chaloon hm hm hm hm hm
to chaloon to chaloon to chaloon
to chaloon to chaloon hm hm hm hm hm
to chaloon to chaloon to chaloon
ae jaate hue lamhon
zara thehro zara thehro
unke chehre ki yeh narmiyaan
unki zulfon ki yeh badliyaan
unki aankhon ke roshan diye
unke honton ki yeh surkhiyaan
unke chehre ki yeh narmiyaan
unki zulfon ki yeh badliyaan
unki aankhon ke roshan diye
unke honton ki yeh surkhiyaan
sab unke hain jalwe
main chalne se pehle
saanson mein aankhon mein
khwaabon mein yaadon mein
aur is dil mein unko chhupaake rakhoon
to chaloon to chaloon hm hm hm hm hm
to chaloon to chaloon to chaloon
ae jaate hue lamhon
zara thehro zara thehro
main kahin bhi rahoon ae sanam
mujhko hai zindagi ki kasam
faaslein aate jaate rahe
pyaar lekin nahin hoga kam
main kahin bhi rahoon ae sanam
mujhko hai zindagi ki kasam
faaslein aate jaate rahe
pyaar lekin nahin hoga kam
jinhe chaahoon jinhe poojoon
unhe dekhoon unhe chhoo loon
zara baatein to kar loon
zara baahon mein bhar loon
main is chaand se maathe ko choom loon
to chaloon to chaloon hm hm hm hm hm
to chaloon to chaloon to chaloon
ae jaate hue lamhon
zara thehro zara thehro
main bhi to chalta hoon
zara unse milta hoon
jo ek baat dil mein hai unse kahoon
to chaloon to chaloon hm hm hm hm hm
to chaloon to chaloon to chaloon.