ton ton ton

ton ton ton lyrics

Details
Singer Kavita Krishnamurthy
Genre Lullaby
Language Hindi
Album Aulad
Poster ton ton ton
play
Lyrics

aaaaaaaaaaaaaaaaaa aaaa

tan tan tan tan tan tan tan

tan tan ghadi mein baj gaye dus

baj gaye das

raat huyi ab bate bas bate bas

neendiya rani aayi mithe sapne layi

ek do teen char panch chah

so gaye duniya ke sab bache

ek do teen char panch chah

so gaye duniya ke sab bache

tan tan ghadi mein baj gaye dus

baj gaye das

raat huyi ab bate bas bate bas


mummy mummy raat ko

mummy kyu sote hain

sapne pyare kyu hote hain

azab wo duniya azab hain nazare

sapno ka wo desh dulare

ghoda jisme ghas na khaye

sher jaha par mas na khaye

bhalu sham ko bhaj ilaye

bandar roti dal pakaye


hathi kitna chhota

chuha kitna mota

hathi kitna chhota

chuha kitna mota

hathi uski kare sawari

na jhagda na mara mari

sher or bakri upar chiti

e khi ghat ka pani peete


sabke dil mein pyar mohabbat

koi kisi se kare na nafrat

haste khelte din aate hai

rat aati hai so jate hai

koi na chinta koi na uljhan

koi na uljhan

neendiya rani aayi mithe sapne layi

ek do teen char panch chah

so gaye duniya ke sab bache

sab bache sab bache


mummy mummy kitne

khush hain log waha ke

kyu ladte hain log yaha ke

lobh maya ke jal mein faskar

manus bana haiwan se badhkar

sapno ki duniya ke andar

raja parza ek barabar

ram ke jaisa raz waha hain

asli to sawraj yaha


waha na koi jat na pat

sab samjhe ek duje ki baat

sabki bhasha e khi bhasha

ek hi boli pyar ki boli

ek duje ke sab hamjoli

tota bole sabki boli

aao khele aanhk micholi

bulbul se maina boli

geet pyar ke sab gate hain

raat aati hai so jate hain


koi na chinta koi na uljhan

koi na uljhan

neendiya rani aayi mithe sapne layi

ek do teen char panch chah

so gaye duniya ke sab bache

sab bache sab bache.

You May Also Like (Similar)

Note: Discover a wide collection of free lyrics on this website. Please note that we ("asomlive") do not host the files.
Rules: Videos and lyrics provided are for personal use only. Redistribution of these materials is strictly prohibited. Please delete them from your hard disk within 24 hours. If you do not agree with these terms, please close this window.