Singer | Sonu Nigam & Alka Yagnik |
Genre | Love |
Language | Hindi |
Album | Fiza |
fiza fiza fiza hey fiza
tu hawa hai fiza hai
zameen ki nahin
tu ghata hai to phir
kyun barasti nahin
udti rehti hai tu
panchhiyon ki tarah
aa mere aashiyaane mein aa
tu hawa hai fiza hai
zameen ki nahin
tu ghata hai to phir
kyun barasti nahin
udti rehti hai tu
panchhiyon ki tarah
aa mere aashiyaane mein aa
main hawa hoon kahin
bhi theherti nahin
ruk bhi jaaoon kahin
par to rehti nahin
maine tinke uthaaye
hue hain paron par
aashiyaana nahin hai mera
ghane ek ped se mujhe
jhoka koi leke aaya hai
sukhe ek patte ki tarah
hawa ne har taraf udaaya hai
aa na aa
hey aa na aa ek dafa is
zameen se uthe
paaon rakhe hawa
par zara sa ude
chal chale hum jahan
koi rasta na ho
koi rehta na ho
koi basta na ho
kehte hai aankhon mein
milti hai aisi jaga
fiza fiza
main hawa hoon kahin
bhi theherti nahin
ruk bhi jaaoon kahin
par to rehti nahin
maine tinke uthaaye
hue hain paron par
aashiyaana nahin hai mera
tum mile to kyun laga mujhe
khud se mulaaqaat ho gayi
kuch bhi to kaha nahin magar
zindagi se baat ho gayi
aa na aa
hey aa na aa saat
baithe zara der to
haath thaame rahe
aur kuch na kahe
chhooke dekhe to aankhon
ki khaamoshiyaan
kitni chup chaap hoti
hai sargoshiyaan
sunte hai aankhon
mein hoti hai aisi sada
fiza fiza
tu hawa hai fiza hai
zameen ki nahin
tu ghata hai to phir
kyun barasti nahin
udti rehti hai tu
panchhiyon ki tarah
aa mere aashiyaane mein aa
main hawa hoon kahin
bhi theherti nahin
ruk bhi jaaoon kahin
par to rehti nahin
maine tinke uthaaye
hue hain paron par
aashiyaana nahin hai mera.