Singer | Shraddha Kapoor & Farhan Akhtar |
Genre | Rock |
Language | Hindi |
Album | Rock On 2 |
neela aakash jo ik samandar hai
usmein kahi koi aisa sitara bhi hai
jisme dusri ik duniya ho basi
jisme ho jaagti zindagi
par humse alag, humse judaa
ik nishaan bhi na ho jahan dard ka
jeena jahan ho nahi mushkil
koi rota na ho, chain khota na ho
ho yeh sabko yakeen
koi tanha nahin
na kabhi toote kisi ka dil
woh jahaan
koi dukh ho na ho koi gham
woh jahaan, palke na hon nam
dilo mein hona deewarein na dooriyan
woh jahan poore ho armaan
sabko ho ye pata
sab dilon mein
mohabbat ek gehri dhara bhi hai
neele aakash mein
koi aisa sitara bhi hai
(farhan akhtar)
neele aakash ke iss samandar ka
chaand ki kashti mein maine kiya hai safar
dhoondti ho agar tum jo duniya haseen
woh duniya hai yahi
woh yahi hai kahi
haan magar uske chehre par
nafrat ki zulm ki
ik dhool hai jam gayi
haan magar uske tann pe lipti
lalach ki hai zanjeer toh
woh duniya aate aate tham gayi
uske chehre se
yeh dhool hatt jaaye toh
uske tan se ye zanjeer kat jaaye toh
dekhna phir yahaan
is zameen par hi hogi woh duniya
woh jahan
koi dukh ho na ho koi gham
woh jahan palke na hon nam
dilon mein hona deewarein na dooriyan
woh jaha poore ho armaan
muskurati ho chehron pe ik roshni
zindagi ho mohabbat bhari zindagi