Singer | Strings |
Genre | Emotional |
Language | Hindi |
Album | Zinda |
yeh hain meri kahani
khamosh zindagani
sannata keh raha hain
kyun zulm seh raha hain
ek dastaan purani
tanhayi ki zubani
her zakham khil raha hain
kuch mujh se keh raha hain
chubtay kantay yadoon ke
daaman say chunta hoon
girti deewaron ke
aanchal mai zinda hoon
bass yeh meri kahani
benishaan nishaani
ek darr beh raha hain
kuch mujh se keh raha hain
chubtay kaanten yadoon ke
daaman se chunta hoon
girti deewaron ke
aanchal mein zinda hoon
bajay pyaar ki shabnum
mere gulistaan mein
baraste rehte hain har
simt maut ke saye
siyahiyon se ulajh padti
hain meri aankhein
koi nahi koi bhi
nahi jo batlaye
kitni der ujalon
ki raah dekhe
koi nahi hain koi bhi nahi
na pass na durr
yeh pyaar hain
dil ki dharkan
apni chahat ka jo
ellan kiye jaati hain
zindagi hai jo jiye jaati hain
khoon k ghoont peay jaati hain
khwaab aankhon
se siye jaati hain
ab na koi paas hain
phir bhi ehsaas hain
yahiaon main uljhi padi
jeene ki ek aas hain
yadoon ka jungle yeh dil
kaanton se jal thal yeh dil
chubtay kaanten yadoon ke
daaman se chunta hoon
girti deewaron ke
aanchal mein zinda hoon.