Singer | Rahat Fateh Ali Khan |
Language | Hindi |
Kya Yeh Lazeem Tha
Har Ek Roz Tadapte Jana
Hijar Ki Aag Mein
Jal-Jal Ke Pighalte Jana
Main Toh Anjaan Tha
Tumne Hi Sikhaya Hai Mujhe
Wakt Ke Sath Hai
Kaise Badalte Jana
Teri Bebaak Nazron Se
Ulajhna Bhi Zaroori Tha
Zaroori Thi Mohabbat Toh
Samajhna Bhi Zaroori Tha
Kya Hota Ek Manzil Ke
Musafir Sath Hi Rehte
Tha Rehna Zakhm Tera Jo
Woh Bharna Bhi Zaruri Tha
Teri Bebaak Nazron Se
Ulajhna Bhi Zaroori Tha
Abhi Toh Sath Chalne Mein
Sukoon Tumse Mila Hi Tha
Manane Ki Jo Rasmein Thi
Hai Baaki Roothna Bhi Tha
Shikayat Tumko Thi Mujhse
Toh Mujhse Hi Ghila Karte
Jo Aansu Behna Chahte Ho
Nahi Unko Piya Karte
Batao Kya Yeh Lazeem Tha
Tadapte Chhod Kar Jana
Sile Mein In Wafaon Ke
Tadapna Bhi Zaruri Tha
Teri Bebaak Nazron Se
Uljhna Bhi Zaroori Tha
Aa Aa Aa Aa…
Jahan Milte The Hum Dono
Wahan Jaakar Bahut Roya
Jise Khone Se Darta Tha
Woh Aakhir Maine Hai Khoya
Teri Tasveer Dekhun Toh
Nahi Aata Yaqeen Mujhko
Magar Do Rukh Hai Iss Tasveer Ke
Ab Hai Yaqeen Mujhko
Kahan Tu Mujhmein Mausam Sa
Yahan Aaya Kahan Badla
Mujhe Tumne Yeh Sikhlaya
Badalna Bhi Zaroori Tha
Zaroori Thi Mohabbat Toh
Samajhna Bhi Zaroori Tha
Teri Bebaak Nazron Se
Ulajhna Bhi Zaroori Tha