Singer | Shafqat Amanat Ali |
Genre | Emotional |
Language | Hindi |
Album | Patiala House |
mujhe yunhi karke khwaabon se judaa
jaane kahan chup ke baitha hai khudaa
jaanu na main kab hua khud se gumshudaa
kaise jiyun rooh bhi mujhse hai judaa
kyun.. meri raahein
mujhse pooche ghar kahan hai
kyun.. mujhse aake
dastak pooche dar kahan hai
raahein aisi jinki manzil hi nahin…
dhoondho mujhe ab main rehta hoon wahin…
dil hai kahin aur dhadkan hai.. kahin…
saansein hai magar kyun zinda main nahin…
rait bani haathon se yun beh gayi..
takdeer meri bikhri har jagah..
kaise likhun phir se nayi daastan
gham ki siyahi dikhti hai kahan
oo..aahein jo chuni hain meri thi raza…
rehta hoon kyun phir khud se hi khafa…
aisi bhi hui thi mujhse kya.. khata…
tune jo mujhe di jeenay ki saza…
o..banday tere maathe pe hain jo kheenchay
bas chand lakeeron jitna hai jahaan
aansu mere mujhko mita te hain rahe
rab ko hukm na mit ta hai yahan
oo..raahein aisi jinki manzil hi nahin…
dhoondho mujhe ab main rehta hoon wahin…e..
dil hai kahin aur dhadkan hai kahin…
saansien hai magar kyun zinda main nahin…
kyun, main jaagoon
aur woh sapne bo raha hai
kyun, mera rab yun…
aankhien khole so rahaa hai
kyun…, main jaagoon…